Friday, March 6, 2009

Kuttae ka Naam Karann


Bacchon ka naam karan ka karyakram apnae aap mein he ek saaadharan se baat hae par agar kisi kuttae ka naam karann kiya jaaye toh woh asaadharan baat ho jaati hae. Aisa he kuch Arthos ---Porthos nae iss kahaani mein kiya. Arthos nae apnae skool kae holiday homework ki "SHRUTLEKH" he kahatam kari thien, Aub samay tha ki apnae gaaon jakae kuch tahalkaa machaaya jaaye ... Arthos –Porthos (Arthos ki behan) aur unki badi behan LULLU nae apnae baaki kae holiday homework ki list uthaai, “with all bag and baggages”, aur chal diyeh apnae gaaon ki ore jo ki Uttar pradesh kae district BULANDSHEHAR mein padta tha....

Gaaon janae kae liyeh unhe pehlae Bulandshehar ki 2 ghantae ki bus yaatra karni padti thie fir uskae baad 45 min ki ek aur bus yaatra.... Iss yaatra kae bhe kuch alag he mazae hua karte thae ... Chaliyeh aapko thodi daear uss bus kae nazaare se bhe awgat karwaaya jaaye . ARTHOS--PORTHOS kae gaaon janae waali bus kaafi buri haalat mein hua karti thie ... log toh usmein yaatra karte he thae ...saath mein kabhe kabhe unki bakri aur murgi bhe. Har kisi kae haath mein PANJA CHAAP TAMBAKOO aur 502 PATAAKA yaa FUAAARA BEEDI ka bandal bhe hua karta tha aaur driver manoranjan kae liyeh DECK par Uttar Pradesh kae Cheetriyeh Gaanae sunnna pasand karta tha.

Bus kae chalte conductor ji yaatrion ka ticket bannana shuru karta thaa... jaisse he bacchon ki thodi daear aankh lagti. .Tabhe santarae ki goli wala bus mein haazir ho jata. ARTHOS ----PORTHOS yatra karein aur bahar ka kuch na khaaein aisa toh kabhe ho he nahe sakta tha.. Bulandshehar pahunchte he ARTHOS --PORTHOS aur LULLU ko PYAARE LAL HALWAAI ki yaad aati jahan woh dat kae rasmalai udaatae.


Asli yatra to gaon ki sadak se ghar tak ki hoti thi.. Apni dadi ke sath kadam taal karte hue Arthos aur Parthos is khushi mein agey badhte the ki shayad koi bail gadi ya bhainsa buggi mil jaye aur wo us teek duphari mein aram se ghar puhunche. Par aisa nahi hota tha .Dadi unhe ye bharosa dekar teen kilometer ki yatra 11 number ki bus pe hi kara detin thi ki “ Zyada Udo Mat Agey Milegi Buggi, chup chap chalte raho”. Aur unke papa ki bhi hamesha se yahi iccha thi unke bacche har paristhiti ka dat kar samna karein aur har na mein . Aur iski shurat unhe Paiyan Paiyan chalane se ki gayi.




Ghar pahunchte hi unka swagat MATROO aur PURAN CHAND ne kiya joki unke ghar mein kiraye pe raha karte the. Puran chand apne aap mein hi Ajuba tha. Kala tawe jaisa rang, nata aur dant to kuch aise the jaise unka manjan se dur dur tak koi vasta hi nahi hae. Agey ke do daant gayab the jo shayad kisi ladai bhidai mein hi tunte honge. Pooran Chand ka favorite pass time chai peena tha. Subah sham Dopahar kabhi bhi puch lo chai ke liye banda hamesha tayyar. Matru iska chota bhai bilkul matar ke dane jitna hi dimag rakhta tha. Usse bada Mirch ka deewana shayad hi duniye mein koi aur hoga. Uski sabji mein ek aalu to 15 mirch hotin thien.

Raat ko sote samay bhi ARTHOS PORTHOS ka dimag ek jagah nahi rehta tha. Kabhi jugnu pakadna aur kabhi lakkad bagghon ki HOOKI par dhyan dena jo ki unki dadi ke hisab se choron ki apne sathiyon ko ALERT CALL hoti thi. Raat beeti baat beeti. Subah 5 pm baje hi muh par makkhiyan bhin bhinane lagti thiein joki ARTHOS PORTHOS ke neend mein sabse bada khalal hota tha.

Arey Gaon ke bare mein batate batate hamara kutte ke Naam Karan se to dhyan hi hath gaya hai. Chalo wapas usi track par ate hain . Hua yun ki Delhi wale Amma ke pota poti hone ki wajah sae ARTHOS-- PORTHOS ko khub attention milti thi .jiska ye dono jamke fayda uthate the. Dopahar hui thoda skool ka kaam khatam kiyaa aur lag gaye dhamaa chaukkddi machaanae mein . Aub time pass karnae kae liyeh kya kiyaa jaaye ??? Tabhe PORTHOS ki nazar ghar kae pass ghoom rah eek KUTTAE kae PILLAE par padi jo ki gaaon kae he ek ladkae BHOPAN ka tha. ARTHOS nae BHOPAN se poocha”Iskaa nam kya hae bhai” toh bhopan nae kaha “Kuch nahe hae aisse he hae yeh toh sadak chaaap” --Toh PORTHOS nae ARTHOS se salaah milaai aur BHOPAN se kaha “Chal tere kuutae ka naam karann kiyaa jaaye” BHOPAN ko pehlae sunkar kaafi atpataa laga fir usnae bhe haami bhardi. Fir kya tha, gaaon kae kuch selected bacchon ko naam karann programme mein hissa bannae ka nyotaa diya gaya jismein BHOPAN ki badi behan YASHODA…Choti behan DEVKI aur bada bhai ARUN bhe shaamil thae.. NEETU aur POOJA ko bhe bulaa liya gaya. Aur sabse kaha gaya ki “HAMARE PILLAE KAE NAAM KARANN MEIN JALOOL JALOOOL AANA”

Aglae din saari paltan PILLAE samaet aur naam karann samagri kae saath DHANNI TAUJI kae tube well kae saamnae BHOPAN kae GHER (jahan bhainss baandhi jaati haein mein ) mein jaa pahunchi. PANDIT ka kirdaar PORTHOS nae nibhaaya. Toh aub time tha ki kattha shuru ki jaaye .Sabse pehlae OM JAI JAGDISH HARE sabnae ghoob gala faaad faad kar gaai aur fir baaki time GAAYTRI MANTRA he gaya kyyonki aur kuch aata he nahe tha .Pillae samaet sabko haathon mein kalawa bandha gaya aur maathae par lamba sa HALDI ka tilak lagaya gaya..POOJA ka poora feel daenae kae liyeh saamnae waali deewar par LAKSHMI ---PAARVATI aur GANESH ji ka ek calendar bhe lagaya gaya. Saamgri mein ek AB C D ki kitaab bhe thie jispar ARTHOS ko aankh bandh karkae PORTHOS kae start boltae he jaldi jaldi A to Z par ungli chalaani thie
“Chal ARHTOS START” A>>>>>>>B>>>>>>C>>>>>>>>>D>>>>>>>>>…………………STOP lo ji D aagaya”
PORTHOS poorae josh mein bacchon se boli “Bolo bacchon D se kya naam rakhaa jaaye PILLAE ka” sabnae apni apni pasand kae naam bataye – koi bola DHEERAJ toh koi bola DHARMENDAR --- ussmaein JOHN famous nahe tha nahe toh PILLAE ka naam JOHN he rakhaa jata . Fir kuttae ko ek ruff nd tuff naam diya gaya “DON” aur yeh suntae he poora GHER taaliyon ki gad gadaahat se goonjh uthaa ..mano saiinkadon shehnaaiyan baj gaye hon. Fir PARTHOS nae pillae ko dheerae se apni taraf kheencha aur uska kaan pakadkae zor se kaha” JAAN LAE AAJ SE TERA NAM HAE DON DON DON DON DON” naam itni zor se chilaaya gaya ki pillae kae zehan mein baith jaye aur dahi maafik uskae dimaag mein jum jaaye… Batasshae bant kar naamkarann samahroh ka samaapan hua.

Aub time tha ki DON ki life bhe settle kardi jaaye ..Uska kamau poot banne mein toh abhe kaafi time that toh decide kiya gaya chalo iska ghar he bana daein, HECTOR maafik.. Ghar kae construction ka kaam ARTHOS kae haath mein tha . Usnae bhe Kuch ieentein ikathhi karein aur BHOPAN se cement ki jagah mitti ka masala banwaaya ..aur kuch he ghanton mein DON kae liyeh 1 manjil ka flat khada kar diya gaya ..Don ko ghar ka jaizza karnae kae liyeh ander bhejaa gaya lekin bhagwaan bhe nahe chahtae thae ki DON ki life iss tarah se settle ho aur who bhe ARTHOS – PORTHOS kae hatthon.. tabhe KAAAAAAAAAAAINNN KAIAAAINNNNNNN ki zor se awaaz aaye. Har jagah hadkamp sa mach gaya ki yeh hua toh hua kya??? Akhir yeh chilaaya kon .. Tabhe BHOPAN ki peeche se awaaz aai “ AARE CHALIYOH RAE DON GHAR KAE NEECHE AA GAU” bole toh DON apnea he flat mein dub chukka tha. Dekha toh DON naam panae ki chakachaundh mein apni ek taang kho chuka tha. HUE NA DON SE SYMPATHY? Lekin DON nae HIMMAT nahe HAARI ---- HIMMATAE MAARDAAN, MARDE KHUDA… Aagae chal kar apni zindgi mein apnea naam ko un uchaaiyon par lae gaya jiska usnae bhe kabhe sapna bhe nahe dekha tha kyonki who ARTHOS PARTHOS Ki nazroon se kaafi duur tha. Tooti taang hotae hue bhe usnae gaaon kae sub kutton ko apnea ishaaron par nachaaya. ARTHOS – PARTHOS fir jub bhe gaaon gaye DON puranae GILAE SHIKVOON ko bhulaate hue tahae dilse unkaa swaagat karnae kae liyeh taiyaar rehta tha..




Tuesday, March 3, 2009

DOCTOR-----DOCTOR


Yeh Doctor -Doctor woh game hae jisse duniyaa kae 90% baache kheltae haein agar woh normal haein ---toh baat yeh hae ki ARTHOS ---PORTHOS bhe unhe 90% bacchon mein se thae--lekin fark itna tha woh bina equipments kae kheltae thae aur unki shaitaaniyaan normal hotae hue bhe kaafi unique hua karti thien.... Iss game ko khelnae mein Arthos --PORTHOS pass pados kae bacche ikattha karte thae jo inki bakaaida kaafi izaat kiya karte thae aur apna ilaaj unsae karwaana apna saubhagyaa samjhte thae-- chaahien woh beemar ho ya na ho--- Fir se garmiyan aien aur skool bandh hue aur ARTHOS PORTHOS kae pannkh nikal aaye aur unhonae dubaara tarron kae beech bassi colony mein udnaa shuru kiya... iss garmi ki shurwaat hue unkae sabse priye gamesae jo ki tha DOCTOR --- DOCTOR....par aakhir yeh he game unka favrt kyon tha??????????????? woh bhe bataingae... subah kae 11baj chukae thae --mummy ..papa apnae offc kae liyeh rawaana ho chukae thae ...ghar mein thie unki daadi jo ki kaafi dictator type thie ..unkae so jaanae kae baad he ARTHOS ---PORTHOS mein jaan aa jaati thie---Dopahar kae 11baje CHAMAKNI kae zariyeh mohallae kuch agyaakari bacchon tak khabar pahuchaa di gaye ..jisemin included thae... LADDU--- Ek laal surakh hatta katta baniya ladka jo ki apni daadi kae liyeh future mein pakka BLANK CHEQUE ka kaam karnae waala tha...... LADDU ki choti behan--- LAALI ---aur unkae chacha ka ladka TIKKI jisse ARTHOS PORTHOS pyaar se KEN GHOSH bulaate thae ... Game shuru honae kae liyeh 12 baje ka time fix kiya gaya aur bacchon se kaha gaya ki time par pahunch jaaien aur apnae ghar se kuch dawaaiyaan laekar aaien... saare kheelon ka adda ARTHOS --PORTHOS ka ghar he hua karta tha .... yahan ARTHOS---PORTHOS kae ghar bhe --dawai ki khoj jaari thie ....jisse unhe marizon ko daena tha .... Prescription kae liyeh PORTHOS nae apnae papa ki WORLD BANK KI REPORT churai jismein kaafi colourful pannae thae --lekin PORTHOS ko iska kuch gyaan nahe tha ki usnae kyaa important document churaaye thae.... BAs fir kya tha saari paltan sahe 12 bajae unkae dwaar par haazir thie... CHAMAKNI nae apni skool ki copy se 16 parchi dhapp ki tarah kuch parchiyaan banaaien aur unpar 1 se 50tak number likh daalae...bas PORTHOS nae apni seat sahmaali jo ki varendah kae saath waale room mein thie..jahan woh ek DOCTOR honae ka kirdaar nibaah rahe thie ---- haalanki usse DOCTOR kae baar emin kuch gyaan nahe tha lekin fir bhe usnae apnae Prescription paper par duniyaa ki saari DEGREE likh daali thieen jaisse---MBBS --CA--CS--MED--BED--MA ECONOMICS ---inn degree ka usse gyaan isliyeh tha kyyon ki inmein se kuch degree uskae parents nae kari hue thien.... aaur dooosri ore ussi kamrae ki khidki par jo ki varendah ki ore khulti thie ARTHOS nae COMPOUNDER ki gaddi sahmali hue thie... CHAMAKNI ko number pukarnae ka kaam diya gaya--CHAMAKNI---Naam se he pata chal jata hae ki woh kaafi bright,Intelligent, thie jo ki dikhnae mein gol matol tutlaanae waali ARTHOS PORTHOS Ki Pakki frndd aur cousin thie aaur sabse fvrrt cousin thie jo ki unkae saath walae LADDO kae ghar mein kiraaye par raha karti thie...Verendah mein patients kae liyeh 2 chair lagaaein gaye baaki 2 ko khada rakhaa gaya jisse ki yeh feeling aaye ki CLINIC khaali nahe hae bharaa rehta hae... Aub khel shuru hua CHAMAKNI nae pehla number pukaara "NUMBER ek ander aaien" bas fir pehlae patient LADDU nae entry maari ..LADDU ki awaaz waisse bhe kaafi bhaari thie toh PORTHOS nae bina kuch janch kiyeh LADDU ko gala saaf karnae kae liyeh dawai batai... Prescription WORLD BANK KI REPORT mein sae ekgulaabi rang ka panna faad kar banaya gaya...aaur LADDU ko ARTHOS kae pass janae kae liyeh kaha...aur ARTHOS nae usse 2 VICKS ki goliyan haath mein thamaa daali.. aaur usse kaha gaya "Ek subah khaanae se pehlae aur ek raat kae baaad paani kae saath khaana" haji bolkar LADDU bhe dubaara sae patients ki line mei naye parchi laekar ek naya patient bankar baith gaya ...bhaai aub 50 parchiyan bani thien jiskae liyeh har kirdaar ko kai baar PORTHOS kae pass naya rog laekar aana tha ..patein bhe bore nahe hotae thae aur DOCTOR ka bhe mann laga rehta tha aur uski MA--BED ki knowledge bhe kaam aa rahe thie.. LADDU kae line mein lagte hae CHMAKNI chilllai "NUMBER 2 hazir aaien" Tabhe LAALI nae entry maari -- lali nae apna rog pehlae he bina batyee dikhanae kae liyeh ..kamre mein jatae he khansna shuru kar diya -- woh toh mazaak mein khans rahe thie lekin use sach mein he itni khaansi aa gaye ki uskae LAAL gaaal aurr laal ho gaye... YEh dekh PORTHOS kae pasinae nikal aaye ki yaar yeh sach mein kon patient a agaya ..CHAMAKNI nae usse ek glass paani pilaaya aur kamar par ek KASKAE GHOONSAAAAAA lagaya ....jiskae lagte he LAALI Physically aur Mentally dauno tarah sae chal nikli- lekin fir bhe usse ARTHOS kae pass dawai laenae bheeja gaya ---use ussi report mein se ek PEELAE rang kaa kaagaz diya gaya --- jis par khaansi ki dawai ki jagah ek CHOCOBALLS ki goli likhi thie-- ARTHOS nae 1rs ka CHOCBALLS ka packet faada aur usmein se 4 time ki dawaai thamaa di aur LAALI ko chalta kiya ----- PORTHOS bacchon ka ilaaj karne mein kaafi expert thien ...woh khud child specialist kae pass jaati thie--isliyeh usse injections ki kaafi aachi knowledge thie.. agla number tha 3 saal kae TIKKI ka jo ki kaafi ghabraaya hua tha kyonki use asal zindgi aur khel mein har jagah injection ka saamna karna padta tha...CHAMAKNI nae uska teeka karan card banaya jismein usse 7 din mein 7 injection lagwaanae thae... TIKKI jaisse he PORTHOS kae saamnae aaya ---usse room mein padae bed par lita diya gaya--aur ARTHOS ko jhadddooo ki sennkh sae POLIO ka tikka taiyaar karnae ko kaha gaya ---ARTHOS nae seenkhon waali jhaddo se ek jhadoo ki seenkh todi... aur TIKKI ko bed par ultaa litaya aur uskaa teekakaran ka karyeh karna shuru kiya ---dar kae maare TIKKI kae burae haal thae..TIKKI ko bina bataaye uskae bumps par jhadoo ki seeenkh chubaani shuru ki gaye ---woh seenkh injection ki tarah tub tak chubaai jaati thie jub tak TIKKI ki cheekhein na nikal jaien ...cheekh nikalte he ek aache componder ki tarah ARTHOS cotton ko gila karkae injection waali jagah ragadta aur kehta " Hooogaya hooogaya hoogaya bass aaur nahe ronaaa" CHaMAKNI peeche se bolti "Aisse nahe rotae baeta" ...Aisse he 3 ghatae tak yeh khel chalta rehta --Mummy kae ghar aate he ARHTOS --PORTHOS khud aur apnae sehyogiyoon sae saara setup jaldi sae clear karwaatae.... aaur unhe apnae apnae ghar bhej daetae.... idhar CHAMAKNI ki mummy kae bhe office se aanae ka time ho jata tha toh woh bhe ARTHOS-- PORTHOS ki chatth se deeewar taap kar apnae ghar chali jaati ..... Shaaam hue ARTHOS ---PORTHOS kae papa ghar aaye --- aur un donon kae liye garmaa garam JALAEBI aur SAMOSAE laaye..PAPA kae haath mein 2 packet dekhte he ARTHOS nae skate maarte hue ghar ka gate khola... aur papa kae haath se dauno packet apnae hath mein lae liyeh ---aur bina plate mein kiyeh ek hath mein SAMOSA liyaa aur ek hath mein chatni ki theilley laekar khana shuru kiya...jub tak koi dhyaan daeta tub tak ARTHOS 2 SAMOSAE udaa chukaa tha ...aagae unkae saath kya honae waala tha unhe uska kuch gyaan nahe tha...PAPA nae ek dum PORTHOS se poocha " Baeta tunae ek alag alag kae rang waali kitaab dekhi hae kya? jo ki almaari kae peeche rakhie thie" PORTHOS kae haath mein SAMOSA dheerae se wapas plate ki taraf chala gaya aur usnae papa se seedhae mana kiya "NAHE PAPA" unsae nazar bachakae aub time tha ki uss WORLD BANK KI REPORT ko Almiraah kae peeche faink diya jaaye jahan woh apnae test paper fainkaaa kartae thae--- Aub yahan ARTHOS --- PORTHOS ki badi behan LULU nae unsae bagaawat kar daali aur papa ko bataya ki "Yeh he dauno khel rahe thae papa ---inhonae Almari kae peche fainkii hogi"...Papa nae ARTHOS --POTHOS ko bulaaya aur kaha" Kahan fainkii hae kitaab?? Batao nahe toh haath pairr banndh kar pankhae se ultaa latkaa diya jaayega" papa nae jakae jaissse he Almari ko hataya toh ARTHOS ---PORTHOS ki saans ruk gaye kyyonki uskae peeche sae WORLD BANK KI REPORT kae saath unkae CYCLE TEST kae paper bhe milnae wale thae... Lekin papa ko yeh khushi thie ki unki WORLD BANK KI REPORT mil gaye thie....... lekin papa nae jaisse he apni mehnat sae banai hue report ko khola toh dekhaa uskae kafi pages gayab thae ---jiskae liyeh Dubara ARTHOS --PORTHOS ki class li gaye aaur unhonae bataya ki konsa paper kahan fold kar kar kae fainkaa haein---aaur tabhe apnae saare patient kae ghar jaakae unsae unkae prscription collect kiyeh gaye...... uss din ki maar kae baad...unhonae kasam khaai ki apnae khel mein apnae PAPA kae papers se DUUUUUUUR he rahingae...Ek aur garmi ki raat khatam hue ...lekin ARTHOS --PORTHOS aglae din ki khel ki planning mein lag gaye..

Laalach Buri Bala Hai


Is baar Arthos --- Porthos nae ek naye kahaani rach daali .... garmiyon ka time tha --jaisaa ki aapko pehlae he pata hae Porthos ka Arthos par kaafi control tha aur Arthos ka CHAMAKNI par...lekin iss kisse mein woh apnae ghar ki boundries se bahar niklae---woh bhe khaazaane ki khoj mein ---Garmiyoh ki chuttiyon ka samay tha ..para 45 deg kae pass tha lekin Arthos ..Porthos aur CHAMAKNi mein khelnae ka aur apni chuttiyon ko utilise karne ka itna josh tha ki unhonae GHAR GHAR khelna decide kiya...aur iskae liyeh unhonae jaala saaf karne walae dandae ko roof kae ek konae mein lagaya aur uskae upar ek chaadar daalkae apna khel shuru kiya ---Aub kitnae time tak aisse he baitha jata ... kuch khaaye piyeh bina toh bhagwaan bhe nahe baith paatae---toh yeh toh insaan thae..Lekin Arthos ---Porthos ki pkt khaali thien GHAR GHAR kae khel mein GHAR ka bana hua khaana he khaaaya jaaye toh woh KHEL nahe rehta....unh dinon Side kae PLOT se unkae neighbours nae kahein aur ghar shift kiya ---toh ARTHOS --PORTHOS nae socha kyyon na us khaali ghar mein jaakae kucch chaan been ki jaaye ... fir kya tha unhonae 4ft ki dewwar ko cross kiya aur chal diyeh apnae next mission ki ore.. lekin mission ka main point tha kahein se bhe toffee ka aaur anyeh khaanae ki saamagri ka jugaad karna ---- Side walae ghar mein kaaafi IRON ka samaan tha jisse dekh kar ARTHOS aur PARTHOS kae shaitaani dimaag mein IDEAS aanae lagae--- wahan kuch IRON kae pipe covers thae jo ki round shaped mein thae aur woh kaafi kuch uss CASTLE ki shape ko resemble karte thae jise ARTHOS aur PARTHOS Doordarshan par kaafi dilsae dekha karte thae jismein JAIBALROCKY naam ka dragon rehta tha...isliyeh unhonae iss round shaped pipe covers ka naam JAIBALROCKY rakh daala---- Bas fir kya tha ARthos nae ek JAIBALROCKY ko dekha toh usse laga ki agar ise KABAADI kae pass laekar jaaya jaaye toh iski aachi kemat mil sakti hae...PARTHOS ki hari jhandi milte he--- ARTHOS nae woh JAIBALROCKY uthaaya aur jitna jaldi ho saka utni jaldi kabaadi ki dukaan ki orr koonch ki --saath mein PORTHOS aur CHAMANKNI bhe thae ---JAIBALROCKY ka weight 10kg honae se unhe 30rs mil gaye --- bas fir kya tha uss din khoooob aachi party celebrate ki gai... itnai aissh kae baad shaam 7 baje unka game khel khatam hua ---- fir wahi khel nxxt day repeat kiya gaya --us din bhe ARTHOS PORTHOS nae side walae ghar mein jakae ek aur JAIBALROCKY uthaaya aur kabaadi kae yahan dae daala ---- ghar mein 6 mein se 5 JAIBALROCKY woh ek he kabaadi ko baek aaye --- Itnae zyaada JAIBALROCKY itnae kum time mein jub kabaadi walae nae apni shop par daekhae toh kabaadi ko bhe ARTHOS--PORTHOS aaur CHAMAKNI par shak hua ---ki yeh bache itnae saarae Pipe covers laa kahan se rahe haein ---yeh sochte hue usnae kaafi akad se bacchon se poocha ki "Kahan se laa raho ho bae yeh" lekin PORTHOS nae kaafi confidence kae saath use zyaada akad se uska jawaab diya "Hamare ghar mein construction chal rahe hae aur mere papa nae mujhe inh JAIBALROCKY ko yahan sell karnae bheja hae" ---Lekin uss waqt ARTHOS--PORTHOS aur CHAMAKNI kaafi ghabraagaye aur bhagwaan ko yaad karnae lagae ki bhagwaan iss baar bachalo isss JAIBALROCKY kae jitnae bhe paisse milingae usse MANDIR mein prashaad chadha dingae--aaur uss time unkae dimaag mei chal raha tha ki bas kaise bhe yahan se bach niklaein ---Lekin KABAADI nae unkae ghabranae ka faidaa uthaate hue unhe iss baar JAIBALROCKY kae 30rs ki bajaaye khaali 5rs diyeh --- lekin ARTHOS --- PORTHOS aur CHAMAKNI ko iss baat ka koi rona nahe tha --unhe bas uss time apni jaan bachaani thie -- bas 5rs collct kiyeh aur wahan se tezz chaal chalte hue ghar ki ore niklae --lekin PORTHOS nae peeche mudkae dekha toh KABAADi wala cycle par unkae peech epeeche aa raha tha ---lekin ARTHOS aur PORTHOS area ki galiyon se jitna waakif thae utna KABAADI wala bhe nahe tha .... in short ARTHOS ---PORTHOS poore area mein KABAADI waale se bhe zyaada ghooma karte thae ---- jaisse taisse uski nazroon se khud ko bachaate hue woh apne ghar pahunch gaye aaur kasam khaai ki aagae se aisse kaam nahe karingae ---aaur JAIBALROCKY kae paisson se Mandir mein prashaad chadhaaya.......

Monday, March 2, 2009

Arthos Parthos ka Janam


Arthos-- Parthos ka janam Delhi mein hua tha. Ye dauno bhai behan hai ,Arthos chota kanha laal bhaiya hai jabki Parthos uski teen saal badi behan... Parthos ka janam Shakti nagar ke Aggrawal Hospital mein hua tha jo ki bahut koi known hospital nahi tha ... aur uska ek acche hospital mein na paida hona badi problem bana uske liye kyunki uski badi behan aur chotae bhai ka janam St Stephens hospital mein hua tha --- chalo thoda aagae chalein aub ---Arthos aur Porthos kaafi chalak ---shaitaan ---aur syaanae thae... Porthos ka Arthos par poora control hua karta tha jo Porthos order daeta tha usse Arthos minute se pehlae poora karta tha. Jub Arthos ka janam hua toh Porthos gali mein sae logon ko pakad kae laati thie ki dekho hamare ghar mein bhaiyaa hua hae ---aissa kar kar kae usnae kaafi mitra bana liyeh thae. Jub Arthos nae hossh sambhalae toh woh poori tarah Parthos kae shikanjae mein tha... chalo ek uddahran ho jaaye -- "Tub waqt aissa tha ki ghar kae padosi ki deewar ka plaster nahe hua tha aur ghar mein peeche ek neem ka paed bhe tha ..deewar mein kaafi jagah eeintein nikli hue thien jismein kaafi chidiyaaon nae apnae ghonslae banaye hue thae --aacrdng to Parthos wahan rehni waali chidiyon mein ek moti chidiyaa SEETHANI thie jisnae baaki chidiyaaon ko ghonsalae rent par diyeh hue thae aur unsae har month ka kiraaya wasool karti thie--uska aatank charrmmm seema par tha --jisko ko dekhte hue parthos nae Arthos kae saath meeting ki aur yeh decide kiya ki dewar mein sae is moti SEETHANI ka khonla faink diya jaaye aaur doosron ko iskae aatank se bachaya jaaye.. yeh dekhte hue Parthos nae Arthos ko Deewar par 10ft ki chadhaai kae liyeh ek helmet aur gloves pehnaaye ----iss poorae khel ka mazaaa unki cousin CHAMAKNI lae rahe thie ---woh bhe is poorae khel ko laekaar kaafi serious thie... atlast Arthos nae Parthos ka kaam poora kiya aur inka MISSION kuch he minute mein ACCOMPLISH ho gaya....