Friday, March 6, 2009

Kuttae ka Naam Karann


Bacchon ka naam karan ka karyakram apnae aap mein he ek saaadharan se baat hae par agar kisi kuttae ka naam karann kiya jaaye toh woh asaadharan baat ho jaati hae. Aisa he kuch Arthos ---Porthos nae iss kahaani mein kiya. Arthos nae apnae skool kae holiday homework ki "SHRUTLEKH" he kahatam kari thien, Aub samay tha ki apnae gaaon jakae kuch tahalkaa machaaya jaaye ... Arthos –Porthos (Arthos ki behan) aur unki badi behan LULLU nae apnae baaki kae holiday homework ki list uthaai, “with all bag and baggages”, aur chal diyeh apnae gaaon ki ore jo ki Uttar pradesh kae district BULANDSHEHAR mein padta tha....

Gaaon janae kae liyeh unhe pehlae Bulandshehar ki 2 ghantae ki bus yaatra karni padti thie fir uskae baad 45 min ki ek aur bus yaatra.... Iss yaatra kae bhe kuch alag he mazae hua karte thae ... Chaliyeh aapko thodi daear uss bus kae nazaare se bhe awgat karwaaya jaaye . ARTHOS--PORTHOS kae gaaon janae waali bus kaafi buri haalat mein hua karti thie ... log toh usmein yaatra karte he thae ...saath mein kabhe kabhe unki bakri aur murgi bhe. Har kisi kae haath mein PANJA CHAAP TAMBAKOO aur 502 PATAAKA yaa FUAAARA BEEDI ka bandal bhe hua karta tha aaur driver manoranjan kae liyeh DECK par Uttar Pradesh kae Cheetriyeh Gaanae sunnna pasand karta tha.

Bus kae chalte conductor ji yaatrion ka ticket bannana shuru karta thaa... jaisse he bacchon ki thodi daear aankh lagti. .Tabhe santarae ki goli wala bus mein haazir ho jata. ARTHOS ----PORTHOS yatra karein aur bahar ka kuch na khaaein aisa toh kabhe ho he nahe sakta tha.. Bulandshehar pahunchte he ARTHOS --PORTHOS aur LULLU ko PYAARE LAL HALWAAI ki yaad aati jahan woh dat kae rasmalai udaatae.


Asli yatra to gaon ki sadak se ghar tak ki hoti thi.. Apni dadi ke sath kadam taal karte hue Arthos aur Parthos is khushi mein agey badhte the ki shayad koi bail gadi ya bhainsa buggi mil jaye aur wo us teek duphari mein aram se ghar puhunche. Par aisa nahi hota tha .Dadi unhe ye bharosa dekar teen kilometer ki yatra 11 number ki bus pe hi kara detin thi ki “ Zyada Udo Mat Agey Milegi Buggi, chup chap chalte raho”. Aur unke papa ki bhi hamesha se yahi iccha thi unke bacche har paristhiti ka dat kar samna karein aur har na mein . Aur iski shurat unhe Paiyan Paiyan chalane se ki gayi.




Ghar pahunchte hi unka swagat MATROO aur PURAN CHAND ne kiya joki unke ghar mein kiraye pe raha karte the. Puran chand apne aap mein hi Ajuba tha. Kala tawe jaisa rang, nata aur dant to kuch aise the jaise unka manjan se dur dur tak koi vasta hi nahi hae. Agey ke do daant gayab the jo shayad kisi ladai bhidai mein hi tunte honge. Pooran Chand ka favorite pass time chai peena tha. Subah sham Dopahar kabhi bhi puch lo chai ke liye banda hamesha tayyar. Matru iska chota bhai bilkul matar ke dane jitna hi dimag rakhta tha. Usse bada Mirch ka deewana shayad hi duniye mein koi aur hoga. Uski sabji mein ek aalu to 15 mirch hotin thien.

Raat ko sote samay bhi ARTHOS PORTHOS ka dimag ek jagah nahi rehta tha. Kabhi jugnu pakadna aur kabhi lakkad bagghon ki HOOKI par dhyan dena jo ki unki dadi ke hisab se choron ki apne sathiyon ko ALERT CALL hoti thi. Raat beeti baat beeti. Subah 5 pm baje hi muh par makkhiyan bhin bhinane lagti thiein joki ARTHOS PORTHOS ke neend mein sabse bada khalal hota tha.

Arey Gaon ke bare mein batate batate hamara kutte ke Naam Karan se to dhyan hi hath gaya hai. Chalo wapas usi track par ate hain . Hua yun ki Delhi wale Amma ke pota poti hone ki wajah sae ARTHOS-- PORTHOS ko khub attention milti thi .jiska ye dono jamke fayda uthate the. Dopahar hui thoda skool ka kaam khatam kiyaa aur lag gaye dhamaa chaukkddi machaanae mein . Aub time pass karnae kae liyeh kya kiyaa jaaye ??? Tabhe PORTHOS ki nazar ghar kae pass ghoom rah eek KUTTAE kae PILLAE par padi jo ki gaaon kae he ek ladkae BHOPAN ka tha. ARTHOS nae BHOPAN se poocha”Iskaa nam kya hae bhai” toh bhopan nae kaha “Kuch nahe hae aisse he hae yeh toh sadak chaaap” --Toh PORTHOS nae ARTHOS se salaah milaai aur BHOPAN se kaha “Chal tere kuutae ka naam karann kiyaa jaaye” BHOPAN ko pehlae sunkar kaafi atpataa laga fir usnae bhe haami bhardi. Fir kya tha, gaaon kae kuch selected bacchon ko naam karann programme mein hissa bannae ka nyotaa diya gaya jismein BHOPAN ki badi behan YASHODA…Choti behan DEVKI aur bada bhai ARUN bhe shaamil thae.. NEETU aur POOJA ko bhe bulaa liya gaya. Aur sabse kaha gaya ki “HAMARE PILLAE KAE NAAM KARANN MEIN JALOOL JALOOOL AANA”

Aglae din saari paltan PILLAE samaet aur naam karann samagri kae saath DHANNI TAUJI kae tube well kae saamnae BHOPAN kae GHER (jahan bhainss baandhi jaati haein mein ) mein jaa pahunchi. PANDIT ka kirdaar PORTHOS nae nibhaaya. Toh aub time tha ki kattha shuru ki jaaye .Sabse pehlae OM JAI JAGDISH HARE sabnae ghoob gala faaad faad kar gaai aur fir baaki time GAAYTRI MANTRA he gaya kyyonki aur kuch aata he nahe tha .Pillae samaet sabko haathon mein kalawa bandha gaya aur maathae par lamba sa HALDI ka tilak lagaya gaya..POOJA ka poora feel daenae kae liyeh saamnae waali deewar par LAKSHMI ---PAARVATI aur GANESH ji ka ek calendar bhe lagaya gaya. Saamgri mein ek AB C D ki kitaab bhe thie jispar ARTHOS ko aankh bandh karkae PORTHOS kae start boltae he jaldi jaldi A to Z par ungli chalaani thie
“Chal ARHTOS START” A>>>>>>>B>>>>>>C>>>>>>>>>D>>>>>>>>>…………………STOP lo ji D aagaya”
PORTHOS poorae josh mein bacchon se boli “Bolo bacchon D se kya naam rakhaa jaaye PILLAE ka” sabnae apni apni pasand kae naam bataye – koi bola DHEERAJ toh koi bola DHARMENDAR --- ussmaein JOHN famous nahe tha nahe toh PILLAE ka naam JOHN he rakhaa jata . Fir kuttae ko ek ruff nd tuff naam diya gaya “DON” aur yeh suntae he poora GHER taaliyon ki gad gadaahat se goonjh uthaa ..mano saiinkadon shehnaaiyan baj gaye hon. Fir PARTHOS nae pillae ko dheerae se apni taraf kheencha aur uska kaan pakadkae zor se kaha” JAAN LAE AAJ SE TERA NAM HAE DON DON DON DON DON” naam itni zor se chilaaya gaya ki pillae kae zehan mein baith jaye aur dahi maafik uskae dimaag mein jum jaaye… Batasshae bant kar naamkarann samahroh ka samaapan hua.

Aub time tha ki DON ki life bhe settle kardi jaaye ..Uska kamau poot banne mein toh abhe kaafi time that toh decide kiya gaya chalo iska ghar he bana daein, HECTOR maafik.. Ghar kae construction ka kaam ARTHOS kae haath mein tha . Usnae bhe Kuch ieentein ikathhi karein aur BHOPAN se cement ki jagah mitti ka masala banwaaya ..aur kuch he ghanton mein DON kae liyeh 1 manjil ka flat khada kar diya gaya ..Don ko ghar ka jaizza karnae kae liyeh ander bhejaa gaya lekin bhagwaan bhe nahe chahtae thae ki DON ki life iss tarah se settle ho aur who bhe ARTHOS – PORTHOS kae hatthon.. tabhe KAAAAAAAAAAAINNN KAIAAAINNNNNNN ki zor se awaaz aaye. Har jagah hadkamp sa mach gaya ki yeh hua toh hua kya??? Akhir yeh chilaaya kon .. Tabhe BHOPAN ki peeche se awaaz aai “ AARE CHALIYOH RAE DON GHAR KAE NEECHE AA GAU” bole toh DON apnea he flat mein dub chukka tha. Dekha toh DON naam panae ki chakachaundh mein apni ek taang kho chuka tha. HUE NA DON SE SYMPATHY? Lekin DON nae HIMMAT nahe HAARI ---- HIMMATAE MAARDAAN, MARDE KHUDA… Aagae chal kar apni zindgi mein apnea naam ko un uchaaiyon par lae gaya jiska usnae bhe kabhe sapna bhe nahe dekha tha kyonki who ARTHOS PARTHOS Ki nazroon se kaafi duur tha. Tooti taang hotae hue bhe usnae gaaon kae sub kutton ko apnea ishaaron par nachaaya. ARTHOS – PARTHOS fir jub bhe gaaon gaye DON puranae GILAE SHIKVOON ko bhulaate hue tahae dilse unkaa swaagat karnae kae liyeh taiyaar rehta tha..




No comments:

Post a Comment